Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga.
Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain:
1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega.
2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga.
3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga.
4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi.
5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga.
6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga.
Mot ke Waqt 3 Sazayain:
1. Zaleel ho kar mare ga.
2. Bhuka mare ga.
3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye.
Qabar ki Sazayain:
1. Us ki qabar tang kar di jaye gi aur us ki qabar is qadar bheinche gi keh us ki pasliyan tut phut kar aik dusre mein pewast ho jayain gi.
2. Us ki qabar mein aag bhar kayai jaye gi jis mein ulat palat ho ta rahe ga.
3. Us ki qabar mein aik azdhaha musallat kar dia jaye ga jis ki ankhain aag ki aur nakhun lohe ke hon gay har nakhun ki lambaayi aik din ki masafat ke barabar hogi. Woh karak kar kahe ga mein azdhaha hon mujhe mere rab ne hokum farmaya hai keh tujhe subha ki namaz zayah karne ke jurm mein subha ta tulu aaftab, nama-e- zuhar zaya karne par zuhar ta asar, namz-e-asar zaya karne par asar ta maghrib, namz-e-maghrib zaya karne par maghrib ta isha namaz-e-isha zaya karne par isha ta subha maarta rahon aur jab jab woh aik zarb lagaye ga to murdah 70 hath zameen men dhans jaye ga. Phir who azdhaha apne nakhun zameen mein gar kar us ko nikale ga. To yeh azaab us par qiamat tak musalsal hota rahe ga.
Qabar se Uthne ke Baad ki 3 Sazayain:
1. Allah taala jahannam ki aag ka aik badal us ke chehre ke samne musallat farmaye ga. Jo us ko jahannam ki taraf hank kar le jayega.
2. Hisab ke waqt Allah us ki taraf ghazabnaak nazar dale ga jis se uske chere ka gosht jhar jaye ga.
3. Us ka hisab sakhti se lia jayega. Allah us ko dozakh mein le jane ka hokum sadir farmaye ga.
Post a Comment